Free Keywords Research Tools 2019

Free Keywords Research Tools 2019


Keywords Research – Dosto agar aap Blogger honge to aap bhi is baat se pareshan hote honge , ki aakhir me aisa kon sa keyword dalu apne blog me taaki vo jaldi se Search Engine me rank kare or blog me traffic aaye.
Agar aap Blogger hai or aapke blog me traffic nhi aa raha hai to, kahi na kahi se aapke keyword me problem hogi, aap apne post ke Title , Tag , Focus Word me vo keyword nhi dalte honge , jo logo dwara Google me jyada search kiya jata ho.
Apne dekha hoga bahut se Blog hai jo ek hi mahine me instant traffic apne blog par le aate hai, or kuch blogger aise hai jinka blog ek sal se bhi upar ka ho gya hai, par unke blog par traffic bilkul bhi nahi aata hai.
Agar aap apne Blog post ki SEO sahi se karoge to 100 % aapke Blog me traffic aayega , use koi rok nahi sakta hai , lekin agar aap apne post ki SEO sahi se nahi karoge to aap kitni bhi mehnat kar lo us par Search Engine se traffic nahi aayega.
Is Vajah se Blogger Haar Maan Lete Hai – Jab vo traffic nahi laa pate hai to vo thaak jate hai or haar man le lete hai , or fir apna blog delete kar dete hai, kyunki unhe fayda nahi hota hai.
To isiliye me aaj ye post lekar aaya hu, or aaj main kuch aise tools ke bare me btaunga jinse aap free me apne blog website ke liye keywords research kar sakte hai.
Main khud bhi ek blogger hu or mujhe pata hai Beginner ke liye Paid Tools buy karna bahut mushkil hota hai, kyu ki itne pese nahi hote hai ki vo Paid tools ko buy kar sake.
Isiliye me aaj kuch aise Top Keywords Research Tools ki list btaunga jinse aap Free me apne Blog ke liye Keywords Research kar sakte hai.

Free Keywords Research Tools

Dosto me aapko Best Keywords Research Tools ke bare me bta raha hu , main umeed ke sath keh sakta hu agar aap in tools ka istemal karoge to 110 % aapke blog me Search Engine se traffic aayega .

Ubbersuggest Tools

Dosto aapne shayad suna bhi hoga , UbberSuggest jo ki Profesional blogger ne Develop kiya hai , Jinka naam Neil Patel hai, vese Neil Patel ko kon nahi janta hoga , agar aap unke blog padhte honge to Aapko pata bhi hoga , agar nahi pata hai to main bata raha hu.
Neil Patel sir ne bahut pese kharch karke ye tools apne site par dala hai, unke paas khud ke apne Developer hai, jo unke liye kaam karte hai abhi is Tools ki testing chal rahi hai. Shayad isiliye ye abhi Free hai , maybe baad iska bhi charge laga denge .
Kyunki is tools se aap apne site ko rank karne me bahut sari information nikal sakte ho,
Aap is tools se Keywords Idea, Keywords Research, Monthly Search, CPC tak bata deta hai. Aap is tools ki madad se ye bhi jaan sakte hai ki kis site par kitne Backlink , Or uska traffic kaha se a raha hai.
Main to yahi suggest karunga agar aap new blogger hai or free me keywords research karne ke liye tool ki khoj kar rahe hai to aap is Tools Ko jarur use kare.

Google Keyword Planner

Keyword search karne ke liye hi Google ne Google Keyword Planner ko Develop kiya hai, aap is tools ki madad se keywords ki volume CPC ke sath ye bhi dekh sakte hai , ki us keyword par competition kitna hai.
Free me keywords plan karne ke liye ye bahut hi acha tools hai . Agar aao bhi bloger ya YouTuber hai to bina keyword find kiye title tag vagera na dale. Bina High search volume ke aapka title kisi kaam ka nahi rehta hai.

Comments

Popular posts from this blog

How To Create Bigrock Affiliate Program Account AND EARN MONEY { IN HINDI }

Add Expires Headers Blogger | Speed up Blog Loading Time

Create an Amazing blog in 2019 | Step By Step Guide